Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b4e86a9b8ea340c48518b79703fc716, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aazada-manish Rah Duniya Mein Parwa-e-ummid-o-bim Na Kar - Josh Malihabadi Poetry In English - Darsaal

Aazada-manish Rah Duniya Mein Parwa-e-ummid-o-bim Na Kar

aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

jab tak na milen fitrat ke qadam KHam dekh sar-e-taslim na kar

sine mein hai us ke soz agar shaitan ke qadam le aankhon par

begana-e-dard-e-dil hai agar jibril ki bhi tazim na kar

kitni hi shuaen abr mein hon KHurshid-e-junun par iman la

kitne hi dalael raushan hon danish ko kabhi taslim na kar

sanchon mein barabar Dhalta ja raftar-e-jahan se pher na munh

tansiKH to kya is daftar mein jina hai to kuchh tarmim na kar

ai 'josh' hujum-e-kulfat mein fariyaad o fughan se kaam na le

ghaT jaega is se dil ka asar ajza-e-tapish taqsim na kar

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazada-manish Rah Duniya Mein Parwa-e-ummid-o-bim Na Kar In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Aazada-manish Rah Duniya Mein Parwa-e-ummid-o-bim Na Kar is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Aazada-manish Rah Duniya Mein Parwa-e-ummid-o-bim Na Kar for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Aazada-manish Rah Duniya Mein Parwa-e-ummid-o-bim Na Kar in PDF.