Aa Fasl-e-gul Hai Gharq-e-tamanna Tere Liye
aa fasl-e-gul hai gharq-e-tamanna tere liye
Duba hua hai rang mein sahra tere liye
sahil pe sarw-e-naz ko de zahmat-e-KHiram
bal kha raha hai KHak pe dariya tere liye
ifa-e-ahd kar ki hai muddat se be-qarar
ruh-e-wafa-e-wada-e-farda tere liye
shanon pe ab to kakul-e-shab-rang khol de
bikhri hui hai zulf-e-tamanna tere liye
uTh chashm-e-jawedana-e-saghar-farosh uTh
machli hui hai larzish-e-sahba tere liye
ai aaftab-e-jalwa-e-jaanan buland ho
khoya hua hai matla-e-duniya tere liye
mauj-e-shamim-e-sumbul-o-raihan ke darmiyan
wa hai musahibat ka daricha tere liye
aa aur dad de ki bain chahsm-e-haq-nigar
khae hue hun zist ka dhoka tere liye
sabze ka farsh abr ka KHema gulon ka itr
gulshan mein ehtimam hai kya kya tere liye
tughyan-e-gul shabab pe bulbul KHarosh mein
ek hashr sa hai bagh mein barpa tere liye
'josh' aur nang-e-KHidmat-e-sultan o pas-e-hosh
ye bhi kiye hue hai gawara tere liye
(963) Peoples Rate This