ZaKHm Kya Ubhre Hamare Dil Mein Un Ke Tir Ke
zaKHm kya ubhre hamare dil mein un ke tir ke
gul khile goya ki KHwab-e-ishq ki tabir ke
pasban ne gham diya aur ham-damon ne jaan li
aaj qail ho gae hum gardish-e-taqdir ke
KHud likhi hai KHun-e-dil se ishq ki har dastan
zer-e-ehsan main nahin hun katib-e-taqdir ke
rakh diya hai likhne wale ne kaleja chir kar
hai musannif munkashif har lafz mein tahrir ke
main ne jab mayus ho kar honT apne si liye
phir ho kyun mushtaq itne tum meri taqrir ke
phir wahi sauda wahi wahshat wahi tarz-e-junun
hain nishan maujud sare ishq ki tasir ke
justuju-e-did mein phirte hain sar-garda mudam
har qadam par hain muqabil aap ki taswir ke
be-kason masum ki mushkil-kushai kijiye
chhuTna chakkar se hai gar aasman-e-pir ke
KHidmat-e-har-mustahiq wo kar-gar tadbir hai
qufl khul jate hain jis se bandish-e-taqdir ke
dekhte hain dusron ki aankh ke til mein bhi aib
be-KHabar hain lekin apni aankh ke shahtir ke
tum faraez-mansabi anjam do 'rahbar' faqat
mat paDo jhagDe mein tum taqdir-o-tadbir ke
(915) Peoples Rate This