Tujhe Gar Pas-e-ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta
tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta
to dil bhi shaki-e-tazir-e-KHanjar ho nahin sakta
main tark-e-baada-noshi ke liye muddat se koshan hun
magar ye kaam pura qabl-e-mahshar ho nahin sakta
bula kar baat puchhen ru-ba-ru apne to ro dena
dalael ka asar kuchh is se behtar ho nahin sakta
shikayat tujh se kya saqi ki hai taKHir ka aadi
sitam duniya mein lekin is se baDh kar ho nahin sakta
sukun-o-zabt ki to ham-nashin main intiha kar dun
magar mujh ko wo yusuf ab mayassar ho nahin sakta
pilae ja ki main madhosh ho jaun to tu mane
ki mai-noshi mein koi mujh se baDh kar ho nahin sakta
suKHan-sazi mein lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona
mahz tuk-bandiyon se koi shaer ho nahin sakta
hunar-mandon ki har majlis se ye aawaz aati hai
ki nadan ka koi duniya mein 'rahbar' ho nahin sakta
(1088) Peoples Rate This