Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d0f114f0c82a3f7e5bf0467f9b74e155, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Dil Ne Kaha Pyar Kiya Jae Kisi Ko - Jitendra Mohan Sinha Rahbar Poetry In English - Darsaal

Phir Dil Ne Kaha Pyar Kiya Jae Kisi Ko

phir dil ne kaha pyar kiya jae kisi ko

jaise bhi ho hamwar kiya jae kisi ko

yun yaad lagatar kiya jae kisi ko

aamada-e-izhaar kiya jae kisi ko

kam-hausla hai koi mohabbat mein to phir kyun

be-kar giran-bar kiya jae kisi ko

mashuq ki marzi mein hi aashiq ki raza hai

mashhur KHata-war kiya jae kisi ko

dil us ka jigar us ka hai jaan us ki hum us ke

kis baat se inkar kiya jae kisi ko

saqi ki inayat hai to mai-kash ko hai kya uzr

aasuda o sarshaar kiya jae kisi ko

ek kaif tha saghar mein to hum ban gae kaifi

sharminda na be-kar kiya jae kisi ko

hai be-kasi be-gunah to phir kyun mere sarkar

ruswa sar-e-darbar kiya jae kisi ko

samjhaya bahut hum ne pe 'rahbar' ko ye zid hai

sharminda-e-kirdar kiya jae kisi ko

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Dil Ne Kaha Pyar Kiya Jae Kisi Ko In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Phir Dil Ne Kaha Pyar Kiya Jae Kisi Ko is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Phir Dil Ne Kaha Pyar Kiya Jae Kisi Ko for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Phir Dil Ne Kaha Pyar Kiya Jae Kisi Ko in PDF.