Mata-e-KHun-e-jigar Ashk Ko Pila BaiThe
mata-e-KHun-e-jigar ashk ko pila baiThe
asasa hath mein jitna tha sab uTha baiThe
kisi hasin se dil ko jo hum laga baiThe
to apni maut ko KHud aap hi bula baiThe
baDa gunah kiya jo qubul ki dawat
wo dil ko le uDe aur dur ja baiThe
use bulane baiThane ka zikr hi kya hai
jo az-KHud aae nigahon mein aur sama baiThe
hamare haal pe itna to wo karam kar de
ki dil na de na sahi kuchh qarib aa baiThe
nafa samajh ke base the tumhaare kuche mein
magar jo ganTh mein tha wo bhi sab luTa baiThe
hum un buzurg ke pairaw hain ek adna se
nazar ki raushni jo tur par ganwa baiThe
har ek bazm mein charcha hai har zaban par zikr
ye kis se majra-e-ishq hum suna baiThe
wo dast-e-faiz to 'rahbar' nihaal kar deta
umid aap kisi aur se laga baiThe
(1275) Peoples Rate This