Main KHud Hi KHwab-e-ishq Ki Tabir Ho Gaya
main KHud hi KHwab-e-ishq ki tabir ho gaya
goya har ek bashar teri taswir ho gaya
apne kiye ko aa ke zara dekh tir-gar
tar KHun-e-dil se daman-e-naKHchir ho gaya
phir pesh aa gaya wahi dilchasp hadisa
dil phir kisi ke dam mein tasKHir ho gaya
ye waz-e-ashiqan ye andaz-e-ehtiram
aaKHir mera KHayal use dil-gir ho gaya
aasudgi nasib salimuttaba hun main
mujh ko gharib-KHana hi kashmir ho gaya
wabasta mujh se hona hai KHud wajh-e-afiyat
diwana tera wali-e-taqdir ho gaya
tafrid KHud zariya-e-jah-o-jalal hai
main tera ho ke sahab-e-tauqir ho gaya
to KHub jaanta hai ki main kaun tha kabhi
aur dekh ab ki kya falak-e-pir ho gaya
hona tha hashr-e-hasrat-o-hirman agar yahi
'rahbar' zah-e-nasib ki tu pir ho gaya
(933) Peoples Rate This