Kuchh Na Puchho Ru-ba-ru Ja Kar Kisi Ke Kya Hua
kuchh na puchho ru-ba-ru ja kar kisi ke kya hua
TikTiki bandhne na pai thi ki dil chalta hua
le gai dil ko kisi ki ek nigah-e-awwalin
main kisi ke husn par yak-bargi shaida hua
us lab-e-shirin pe mera ek bar aaya jo nam
main ye samjha KHushtari pahlu-e-qismat wa hua
haal-e-hijran puchhte kya ho ki surat dekh lo
saf zahir hai mariz-e-gham gaya-guzra hua
hun sarapa majma-e-ummid-o-yas o intizar
dhire dhire chal raha hai yak-nafas rukta hua
rah kya sujhe mujhe duniya meri tarik hai
hai kisi zulf-e-siyah mein dil mera uljha hua
aql ka tha pher apni jo unhen samjha tha ghair
wo to bilkul jaan-e-jaan hain raaz ye ifsha hua
tum meri taqdir mein ho aur phir kya chahiye
kaun sa matlab raha phir jo nahin pura hua
mujh ko samjhaya nahin naseh udhar mat jaiyo
phir kahoge luT gae ham, dil hamara kya hua
hum to hain maddah us ke hum ko sab manzur hai
jo hua us ne kiya, jo kuchh hua achchha hua
un ko pane se gharaz thi kuchh na tha duniya se bair
mil gae wo hum ko duniya hi mein aur achchha hua
aashiqi rahbar se sikho sar karo manzil ba-KHair
us ka hai ye rasta achchhi tarah dekha hua
(797) Peoples Rate This