Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki
kanon ko hai bhai hui taqrir kisi ki
aaankhon mein samai hui taswir kisi ki
kuchh ishq mein chalti nahin tadbir kisi ki
sar phoD jo rah jae hai taqdir kisi ki
har zarre mein hai jalwa har ek qatre mein hai aab
hai arsh pe chhai hui tanwir kisi ki
andaz buton ke nahin aate hain nazar mein
rahti hai nigahon mein jo taswir kisi ki
KHat paDh ke kahin aur bigaD baiThe na yarab
yaad aai hai abru dam-e-tahrir kisi ki
ye girya-o-zari dil-e-betab kahan tak
ruswa kahin ho jae na taqsir kisi ki
ek muntazir-e-did ki pathra gain aankhen
taKHir kisi ki hui tazir kisi ki
main faKHr se kahta hun mujhe tum se hai ulfat
baDhti hai tere nam se tauqir kisi ki
ruKH pher magar sar na hile dekh ki zalim
aTki hai teri zulf mein taqdir kisi ki
mehman hai koi din ke, chale jaenge 'rahbar'
baiThenge nahin dab ke jagir kisi ki
(798) Peoples Rate This