Kahin Se Ghair Jo Pahlu Mein Aae BaiThe Hain
kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain
isi liye wo hamein yun bhulae baiThe hain
zara samajh ke karo hum se apne gham ka bayan
hum ek umr ke sadme uThae baiThe hain
kabhi KHayal mein apne mujhe nahin lae
wo muddaton se mere dil mein aae baiThe hain
kahan se loge wo surat wo kam-sini ka jamal
hum apne gosha-e-dil mein chhupae baiThe hain
KHuda ka shukr hai un ko KHayal to aaya
ki wo kisi ki nazar mein samae baiThe hain
dhara hi kya hai mohabbat mein be-kasi ke siwa
hum apne aap muqaddar banae baiThe hain
nigah-e-naz ke talib hain rahguzar mein teri
isi firaq mein dhuni ramae baiThe hain
kisi ko dekh liya tha kahin pe nadan ne
tabhi se KHud ko ye hazrat lubhae baiThe hain
(812) Peoples Rate This