Gila-shikwa Kahan Rahta Hai Dil Ham-saz Hota Hai
gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai
mohabbat mein to har ek jurm nazar-andaz hota hai
labon par qufl aankhon mein lihaz-e-naz hota hai
mohabbat karne walon ka ajab andaz hota hai
ishaare kaam karte hain mohabbat mein nigahon ke
nigahon se hi baham inkishaf-e-raaz hota hai
guzarti hai jo us par sab gawara karta hai KHush KHush
jafaon se tumhaari dil kahan naraaz hota hai
har ek se hum to be-shak karte hain talqin ulfat ki
baDa taqdir wala hi koi ham-saz hota hai
sukun-e-qalb hasil hai pareshan main nahin dilbar
jo tum se dur hota hai wahi na-saz hota hai
main hun shaki o nazan to faqat is rasm-e-duniya se
wahi ghammaz ho jata hai jo hamraaz hota hai
nahin hai gar ye duniya bhi haqiqat se hi wabasta
to kyun dil is ki jaanib mail-e-parwaz hota hai
baDi tabdiliyan hoti hain ulfat un se hone par
zamir-e-KHud-gharz ka saz-e-be-awaz hota hai
samajhte hain hamin hain hukmaran is sare aalam ke
nazar mein jab hamari wo hasin andaz hota hai
nazar aata hai har su jalwa-e-anwar mein gharq aalam
dil-e-pur-kaif behis dar-haqiqat baz hota hai
juda-gana magar andaz hota hai har aashiq ka
machata hai koi ghul koi be-awaz hota hai
safar manzil-ba-manzil tai kiya jata hai ulfat ka
baDi muddat mein sar wo bargah-e-naz hota hai
wahi hai kaamran aashiq jo us ko par kar jae
dilon ke darmiyan jo ek jahan-e-raaz hota hai
baDha aur un se waqif ho ki aazar-e-gham-e-furqat
dui ke farsh ka ehsas be-andaz hota hai
tanasuKH hai musalsal ibtida-e-afrinash mein
hayat-e-jawedan mein kaun daKHl-andaz hota hai
na ham-pesha na ham-KHana na ham-piyala na ham-bistar
wahi apna hai 'rahbar' jo bhi ham-awaz hota hai
(912) Peoples Rate This