Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum
ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum
ye zoam hai goya ki hain wali-e-zamin hum
jari hai dilon ka to wahi rabt-e-nihani
har-chand kahin aur hain wo aur kahin hum
kya hai ye makan kya ye dayar aur ye jahan kya
ye auj hai apna ki jahan wo hain wahin hum
ye moajaza-e-ishq hai ek zinda haqiqat
aate hain nazar aaj jahan bhar mein hamin hum
wan apni rasai na sahi dar to hai us ka
hote nahin aghyar se yun chin-ba-jabin hum
har ek mein nazar aati hain kuchh us ki adaen
ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin hum
jo chahe kahe iza de ya kuchh kare tazlil
dar chhoD ke us ka nahin ja sakte kahin hum
parwana-e-jannat hamein dilwate hain kyun aap
kah to diya sau bar ki jaenge nahin hum
nazzara-e-alam hai bas ek KHwab-e-pareshan
bedar hue gar nazar aaenge hamin hum
duniya mein hai nairangi-e-taqdir tamasha
the aabla-pa kal to hain ab taKHt-nashin hum
uff ek dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takrar
lalchaen hamin hum ise pa jaen hamin hum
(886) Peoples Rate This