Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai
dosti apni kisi se na shanasai hai
zindagi ek musalsal shab-e-tanhai hai
husn inayat hai rifaqat hai masihai hai
ishq ibaadat hai parastish hai jabin-sai hai
raaz mahsus hai is darja ki mere dil mein
KHud tamasha hai wo aur KHud hi tamashai hai
jis ke pine mein baqa jis ke pilane mein sawab
meri taqdir mein zahid wo sharab aai hai
hum se mil lete hain ye un ki dil-arai hai
dur ja baiThte hain hum yahi danai hai
aankhon aankhon mein pila di mere saqi ne mujhe
KHauf-e-zillat hai na andesha-e-ruswai hai
hamd-e-bari hai mohabbat jo usi se ho jae
jis ko maKHsus koi apni ada bhai hai
wo mujhe dekh ke parde mein jo chhup jate hain
main samajhta hun mohabbat mujhe ras aai hai
nisf sad-sal se bhi zyaada hui umr tamam
aur kis din ke liye un ki masihai hai
dil mein rakhte hain harifon se chhupa kar mujh ko
un ko malum hai rahbar mera saudai hai
Thik urdu abhi likhni bhi nahin aai hai
aisi kam-ilmi pe kya KHub ye goyai hai
meri aadat hai wafa dil mein shakebai hai
baat yun bargah-e-naz mein ban aai hai
(1052) Peoples Rate This