Adu-e-din-o-iman Dushman-e-amn-o-aman Nikle
adu-e-din-o-iman dushman-e-amn-o-aman nikle
tere paikan baDe jabir baDe na-mehrban nikle
adaon ne lubhaya di nigah-e-naz ne dawat
magar alfaz dil-shikani mein meri kaamran nikle
mukar lo ishq se lekin sar-e-mahshar na kahna kuchh
wahan par kaun jaane koi apna raaz-dan nikle
tumhaari bazm hai rutbe mein jannat se bhi baala-tar
yahan piri mein aae hum magar ho kar jawan nikle
baDa charcha hai koh-e-tur ka wadi-e-aiman ka
bahut aghlab hai wo dar-parda meri dastan nikle
bayaban mein chaman mein dasht mein ya koh-e-viran mein
KHuda jaane kahan pahunche jo su-e-ashiyan nikle
hamari maut bhi ek mauj hai dariya-e-hasti ki
bas ek ghota lagana hai yahan Dube wahan nikle
moattar kar gai bu-e-wafa mahaul-e-alam ko
mere har qatra-e-KHun se hazaron gulistan nikle
chhupe hain sat pardon mein ye sab kahne ki baaten hain
unhen meri nigahon ne jahan DhunDa wahan nikle
ye waqt-e-naza kaisa kaisi takmil-e-hayat ai dil
ummiden kab huin puri abhi arman kahan nikle
KHuda ka shukr be-dam-o-diram the mai-kade mein hum
magar pir-e-mughan apne purane mehrban nikle
haqiqat ko jo dekha ek nai duniya nazar aai
sitam goya karam tha dushman-e-jaan pasban nikle
mohabbat mein luTe lekin bahut achchhe rahe 'rahbar'
guman tha jin pe rahzan ka wo mir-e-karwan nikle
(1227) Peoples Rate This