Ai Lahore
tere daraKHton ki Tahniyon par bahaar utre
teri guzargahen nek rahon ki manzilen hon
mera zamana nae nae mausamon ki KHushbu
tere shab-o-roz ki mahak ho
zamin par jab bhi raat phaile
kiran jo zulmat ko raushni de teri kiran ho
parinde uDte hue parinde
hazar samton se tere baghon mein chahchahaen
wo raat jis ki sahar nahin hai
wo tere shahron se tere qasbon se dur guzre
wo hath jo azmaton ke hijje miTa raha hai
wo hath lauh-o-qalam ke shajre se TuT jae
kalas pe lafzon ke phul barsen
teri fasilon ke burj duniya mein jagmagaen
akele-pan ki saza mein din kaTte hazaron
teri ziyarat-gahon ki baKHshish se taza-dam hon
tere muqaddar ki baadshahat zamin pe nikhre
nae zamane ki ibtida tere nam se ho
KHushi ke chehre pe wasl ka abr tair jae
tamam duniya mein tazkire tere phail jaen
(1561) Peoples Rate This