Paigham
paigham hawa lai hai na jaane kidhar se
patton pe ubhar aai hai tahrir kidhar se
jo dekhi hai lai hai wo taswir kidhar se
ek rah pe wo aaya hai ek lambe safar se
mahmil mein wo be-KHwab hai aalam ki KHabar se
kya dekhiye! kya shakl hui zer-o-zabar se
ek wasl ke mausam mein jahan jag uTha hai
ghar-bar zamin kaun-o-makan jag uTha hai
KHush ho ke wo aazurda-e-jaan jag uTha hai
kya waqt ki dahliz pe dastak hai kisi ki?
soi hui duniya ko sahar DhunD rahi hai
is daur ko ek achchhi KHabar DhunD rahi hai
(1128) Peoples Rate This