Nazm
aao
shabnam ke pani mein jhanken
hawaon ke uDte hue narm jhonkon se khelen
fazaon mein bikhre hue KHwab DhunDen
jo bachpan mein hum se
zamane ne chhine the aur ahl-e-duniya ki chhat par
bikhere the!
logon se, rahon se
apni kitabon se puchhta tha KHwabon ki duniya kahan hai?
KHuda ko pukaren
jo har shai ke parde mein parda hai dekhen
wo kis kis ki sunta hai
KHwabon mein jhanken
ki KHwabon ke andar wo basti hai jo
KHush-nasibon ki basti hai, achchhe KHuda ke iradon ki basti hai
shayad wahin
apne bachpan ke chhine gae KHwab rahte hain hum se bichhaD kar
judai ke sadmon ko sahte hain
(1820) Peoples Rate This