Ek Nazm
qadam do qadam chal ke thak sa gaya hai
hamare muqaddar ka insan
daraKHton ne apne kai sare pazhmurda patte
hawaon ke ghar se bulae hain
thake-haare rah-raw pe saya karen
us ki KHatir shikasta dilon ka koi git
sab mil ke gaen!
zamin ne kaha hai, ye insan nahin tha
wagarna yun raste mein apne irade ki hitak na karta
yun apne hi sae se be-kar KHaif na hota
na manzil se ghabra ke raste mein girta
yun apne gharane ki tauhin karta!
hamare muqaddar ka insan manzil-ba-manzil
sitaron se guzra hai, bazm-e-nujum-o-qamar jagmaga kar
nishan-e-qadam ban gai hai
shikasta dilon ka sanam ban gai hai
KHudai ke phaile hue silsile hain haram ban gai hai
(839) Peoples Rate This