Taswir O Tasawwur
wo kab ke aae bhi aur gae bhi nazar mein ab tak sama rahe hain
ye chal rahe hain, wo phir rahe hain, ye aa rahe hain wo ja rahe hain
wahi qayamat hai qadd-e-baala wahi hai surat, wahi sarapa
labon ko jumbish, nigah ko larzish, khaDe hain aur muskura rahe hain
wahi latafat, wahi nazakat, wahi tabassum, wahi tarannum
main naqsh-e-hirman bana hua tha wo naqsh-e-hairat bana rahe hain
KHiram rangin, nizam rangin, kalam rangin, payam rangin
qadam qadam par, rawish rawish par nae nae gul khila rahe hain
shabab rangin, jamal rangin, wo sar se pa tak tamam rangin
tamam rangin bane hue hain, tamam rangin bana rahe hain
tamam ranaiyon ke mazhar, tamam ranginiyon ke manzar
sambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe hain
bahaar-e-rang-o-shabab hi kya sitara o mahtab hi kya
tamam hasti jhuki hui hai, jidhar wo nazren jhuka rahe hain
tuyur sarshaar-e-saghar-e-mul halak-e-tanwir-e-lala-o-gul
sab apni apni dhunon mein mil kar ajab ajab git ga rahe hain
sharab aaankhon se Dhal rahi hai, nazar se masti ubal rahi hai
chhalak rahi hai uchhal rahi hai, piye hue hain pila rahe hain
KHud apne nashshe mein jhumte hain, wo apna munh aap chumte hain
KHarab-e-masti bane hue hain, halak-e-masti bana rahe hain
faza se nashsha baras raha hai, dimagh phulon mein bas raha hai
wo kaun hai jo taras raha hai? sabhi ko mai-kash pila rahe hain
zamin nashsha, zaman nashsha, jahan nashsha, makan nashsha
makan kya? la-makan nashsha, Dubo rahe hain pila rahe hain
wo ru-e-rangin o mauja-e-yam ki jaise daman-e-gul pe shabnam
ye garmi-e-husn ka hai aalam, araq araq mein naha rahe hain
ye mast bulbul bahak rahe hain, qarib-e-ariz chahak rahe hai
gulon ki chhati dhaDak rahi hai, wo dast-e-rangin baDha rahe hain
ye mauj-o-dariya, ye reg-o-sahra ye ghuncha-o-gul, ye mah-o-anjum
zara jo wo muskura diye hain wo sab ke sab muskura rahe hain
faza ye naghmon se bhar gai hai ki mauj-e-dariya Thahar gai hai
sukut-e-naghma bana hua hai, wo jaise kuchh gunguna rahe hain
ab aage jo kuchh bhi ho muqaddar, rahega lekin ye naqsh dil par
hum un ka daman pakaD rahe hain, wo apna daman chhuDa rahe hain
ye ashk jo bah rahe hain paiham, agarche sab hain ye hasil-e-gham
magar ye malum ho raha hai, ki ye bhi kuchh muskura rahe hain
zara jo dam bhar ko aankh jhapki, ye dekhta hun nai tajalli
tilism surat miTa rahe hain, jamal mani bana rahe hain
KHushi se labrez shash-jihat hai, zaban par shor-e-tahniyat hai
ye waqt wo hai 'jigar' ke dil ko wo apne dil se mila rahe hain
(1236) Peoples Rate This