Ye Misra Kash Naqsh-e-har-dar-o-diwar Ho Jae
ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae
jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae
wahi mai-KHwar hai jo is tarah mai-KHwar ho jae
ki shisha toD de aur be-piye sarshaar ho jae
dil-e-insan agar shaista-e-asrar ho jae
lab-e-KHamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jae
har ek bekar si hasti ba-ru-e-kar ho jae
junun ki ruh-e-KHwabida agar bedar ho jae
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi
mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae
harim-e-naz mein us ki rasai ho to kyunkar ho
ki jo aasuda zer-e-saya-e-diwar ho jae
maaz-allah us ki wardat-e-gham maaz-allah
chaman jis ka watan ho aur chaman-be-zar ho jae
yahi hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhi
ki insan aalam-e-insaniyat par bar ho jae
ek aisi shan paida kar ki baatil tharthara uTThe
nazar talwar ban jae nafas jhankar ho jae
ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana
sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae
(2158) Peoples Rate This