Yaadash-ba-KHair Jab Wo Tasawwur Mein Aa Gaya
yaadash-ba-KHair jab wo tasawwur mein aa gaya
sher o shabab o husn ka dariya baha gaya
jab ishq apne markaz-e-asli pe aa gaya
KHud ban gaya hasin do aalam pe chha gaya
jo dil ka raaz tha use kuchh dil hi pa gaya
wo kar sake bayan na hamin se kaha gaya
naseh fasana apna hansi mein uDa gaya
KHush-fikr tha ki saf ye pahlu bacha gaya
apna zamana aap banate hain ahl-e-dil
hum wo nahin ki jin ko zamana bana gaya
dil ban gaya nigah nigah ban gai zaban
aaj ek sukut-e-shauq qayamat hi Dha gaya
mera kamal-e-sher bas itna hai ai 'jigar'
wo mujh pe chha gae main zamane pe chha gaya
(1662) Peoples Rate This