Wo Kafir Aashna Na-ashna Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi
wo kafir aashna na-ashna yun bhi hai aur yun bhi
hamari ibtida ta intiha yun bhi hai aur yun bhi
tajjub kya agar rasm-e-wafa yun bhi hai aur yun bhi
ki husn o ishq ka har masala yun bhi hai aur yun bhi
kahin zarra kahin sahra kahin qatra kahin dariya
mohabbat aur us ka silsila yun bhi hai aur yun bhi
wo mujh se puchhte hain ek maqsad meri hasti ka
bataun kya ki mera muddaa yun bhi hai aur yun bhi
hum un se kya kahen wo jaanen un ki maslahat jaane
hamara haal-e-dil to barmala yun bhi hai aur yun bhi
na pa lena tera aasan na kho dena tera mumkin
musibat mein ye jaan-e-mubtala yun bhi hai aur yun bhi
laga de aag o barq-e-tajalli dekhti kya hai
nigah-e-shauq zalim na-rasa yun bhi hai aur yun bhi
ilahi kis tarah aql o junun ko ek ja kar lun
ki mansha-e-nigah ishwa-za yun bhi hai aur yun bhi
'majazi' se 'jigar' kah do are o aql ke dushman
muqir ho ya koi munkir KHuda yun bhi hai aur yun bhi
(1039) Peoples Rate This