Wo Ada-e-dilbari Ho Ki Nawa-e-ashiqana
wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana
jo dilon ko fath kar le wahi fateh-e-zamana
ye tera jamal-e-kaamil ye shabab ka zamana
dil-e-dushmanan salamat dil-e-dostan nishana
kabhi husn ki tabiat na badal saka zamana
wahi naz-e-be-niyazi wahi shan-e-KHusrawana
main hun us maqam par ab ki firaq o wasl kaise
mera ishq bhi kahani tera husn bhi fasana
meri zindagi to guzri tere hijr ke sahaare
meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana
tere ishq ki karamat ye agar nahin to kya hai
kabhi be-adab na guzra mere pas se zamana
teri duri o huzuri ka ye hai ajib aalam
abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasana
mere ham-safir bulbul mera tera sath hi kya
main zamir-e-dasht-o-dariya tu asir-e-ashiyana
main wo saf hi na kah dun jo hai farq mujh mein tujh mein
tera dard dard-e-tanha mera gham gham-e-zamana
tere dil ke TuTne par hai kisi ko naz kya kya
tujhe ai 'jigar' mubarak ye shikast-e-fatehana
(2732) Peoples Rate This