Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga
tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga
sada-e-saz hogi aur na saz-e-be-sada hoga
hamein malum hai hum se suno mahshar mein kya hoga
sab us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga
sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga
dar-e-jannat na wa hoga dar-e-rahmat to wa hoga
jahannam ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga
ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga
azal ho ya abad donon asir-e-zulf-e-hazrat hain
jidhar nazren uThaoge yahi ek silsila hoga
ye nisbat ishq ki be-rang lae rah nahin sakti
jo mahbub-e-KHuda ka hai wo mahbub-e-KHuda hoga
isi ummid par hum taliban-e-dard jite hain
KHosha dard de ki tera aur dard-e-la-dawa hoga
nigah-e-qahr par bhi jaan-o-dil sab khoe baiTha hai
nigah-e-mehr aashiq par agar hogi to kya hoga
siyana bhej dega hum ko mahshar se jahannam mein
magar jo dil pe guzregi wo dil hi jaanta hoga
samajhta kya hai tu diwangan-e-ishq ko zahid
ye ho jaenge jis jaanib usi jaanib KHuda hoga
'jigar' ka hath hoga hashr mein aur daman-e-hazrat
shikayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga
(1701) Peoples Rate This