Raaz Jo Sina-e-fitrat Mein Nihan Hota Hai
raaz jo sina-e-fitrat mein nihan hota hai
sab se pahle dil-e-shair pe ayan hota hai
saKHt KHun-rez jab aashob-e-jahan hota hai
nahin malum ye insan kahan hota hai
jab koi hadsa-e-kaun-o-makan hota hai
zarra zarra meri jaanib nigran hota hai
jo nazar-karda-e-sahab-nazran hota hai
usi diwane ke qadmon pe jahan hota hai
jab koi ishq mein barbaad-e-jahan hota hai
mujh ko mahsus KHud apna hi ziyan hota hai
mutazalzal hai adab-gah-e-mohabbat ki zamin
koi dekhe to ye hangama kahan hota hai
kahin aisa to nahin wo bhi ho koi aazar
tujh ko jis chiz pe rahat ka guman hota hai
dil ghani ho to har ek ranj bhi dil ki rahat
zehn muflis ho to har sud ziyan hota hai
imtihan-gah-e-mohabbat mein na rakkhe wo qadam
maut ke nam se jis ko KHafaqan hota hai
yahi wo manzil-e-dushwar hai jis manzil mein
KHatm har marhala-e-sud-o-ziyan hota hai
har qadam marka-e-karb-o-bala hai darpesh
har nafas saneha-e-marg-e-jawan hota hai
naz jis KHak-e-watan par tha mujhe aah 'jigar'
usi jannat pe jahannam ka guman hota hai
(1034) Peoples Rate This