Niyaz O Naz Ke JhagDe MiTae Jate Hain
niyaz o naz ke jhagDe miTae jate hain
hum un mein aur wo hum mein samae jate hain
shuru-e-rah-e-mohabbat are maaz-allah
ye haal hai ki qadam Dagmagae jate hain
ye naz-e-husn to dekho ki dil ko taDpa kar
nazar milate nahin muskurae jate hain
mere junun-e-tamanna ka kuchh KHayal nahin
lajae jate hain daman chhuDae jate hain
jo dil se uThte hain shole wo rang ban ban kar
tamam manzar-e-fitrat pe chhae jate hain
main apni aah ke sadqe ki meri aah mein bhi
teri nigah ke andaz pae jate hain
rawan dawan liye jati hai aarzu-e-visal
kashan kashan tere nazdik aae jate hain
kahan manazil-e-hasti kahan hum ahl-e-fana
abhi kuchh aur ye tohmat uThae jate hain
meri talab bhi usi ke karam ka sadqa hai
qadam ye uThte nahin hain uThae jate hain
ilahi tark-e-mohabbat bhi kya mohabbat hai
bhulate hain unhen wo yaad aae jate hain
sunae the lab-e-nai se kisi ne jo naghme
lab-e-'jigar' se mukarrar sunae jate hain
(1098) Peoples Rate This