Nigahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun
nigahon ka markaz bana ja raha hun
mohabbat ke hathon luTa ja raha hun
main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya
azal se abad tak baha ja raha hun
mubarak mubarak meri ye fanaen
do-alam pe chhaya chala ja raha hun
wahi husn jis ke hain ye sab mazahir
usi husn mein hal hua ja raha hun
ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko
main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun
na jaane kahan se na jaane kidhar ko
bas ek apni dhun mein uDa ja raha hun
mujhe rok sakta ho koi to roke
ki chhup kar nahin barmala ja raha hun
mere pas aao ye kya samne hun
meri samt dekho ye kya ja raha hun
nigahon mein manzil meri phir rahi hai
yunhi girta paDta chala ja raha hun
teri mast nazren ghazab Dha rahi hain
ye aalam hai jaise uDa ja raha hun
kidhar hai tu ai ghairat-e-husn KHud mein
mohabbat ke hathon bika ja raha hun
na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti
jidhar chal paDa hun chala ja raha hun
na surat na mani na paida na pinhan
ye kis husn mein gum hua ja raha hun
(1030) Peoples Rate This