Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_28e60981c70d3cfa3c6adec7a84a037e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kiya Tajjub Ki Meri Ruh-e-rawan Tak Pahunche - Jigar Moradabadi Poetry In English - Darsaal

Kiya Tajjub Ki Meri Ruh-e-rawan Tak Pahunche

kiya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche

pahle koi mere naghmon ki zaban tak pahunche

jab har ek shorish-e-gham zabt-e-fughan tak pahunche

phir KHuda jaane ye hangama kahan tak pahunche

aankh tak dil se na aae na zaban tak pahunche

baat jis ki hai usi aafat-e-jaan tak pahunche

tu jahan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai

dekh rindan-e-KHush-anfas kahan tak pahunche

jo zamane ko bura kahte hain KHud hain wo bure

kash ye baat tere gosh-e-giran tak pahunche

baDh ke rindon ne qadam hazrat-e-waiz ke liye

girte paDte jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche

tu mere haal-e-pareshan pe bahut tanz na kar

apne gesu bhi zara dekh kahan tak pahunche

un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen

mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche

ishq ki choT dikhane mein kahin aati hai

kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayan tak pahunche

jalwe betab the jo parda-e-fitrat mein 'jigar'

KHud taDap kar meri chashm-e-nigaran tak pahunche

(2191) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiya Tajjub Ki Meri Ruh-e-rawan Tak Pahunche In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Kiya Tajjub Ki Meri Ruh-e-rawan Tak Pahunche is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Kiya Tajjub Ki Meri Ruh-e-rawan Tak Pahunche for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Kiya Tajjub Ki Meri Ruh-e-rawan Tak Pahunche in PDF.