KHusha Bedad KHun-e-hasrat-e-bedad Hota Hai
KHusha bedad KHun-e-hasrat-e-bedad hota hai
sitam ijad karte ho karam ijad hota hai
ba-zahir kuchh nahin kahte magar irshad hota hai
hum us ke hain jo hum par har tarah barbaad hota hai
mere nashad rahne par wo jab nashad hota hai
bataun kya jo mera aalam-e-fariyaad hota hai
yahi hai raaz-e-azadi jahan tak yaad hota hai
ki nazren qaid hoti hain to dil aazad hota hai
dil-e-ashiq bhi kya majmua-e-azdad hota hai
udhar aabaad hota hai idhar barbaad hota hai
wo har ek waqia jo surat-e-uftad hota hai
kabhi pahle bhi dekha tha kuchh aisa yaad hota hai
baDi mushkil se paida ek wo aadam-zad hota hai
jo KHud aazad jis ka har nafas aazad hota hai
nigahen kya ki pahron dil bhi waqif ho nahin sakta
zaban-e-husn se aisa bhi kuchh irshad hota hai
tumhin ho tana-zan mujh par tumhin insaf se kah do
koi apni KHushi se KHanaman-barbaad hota hai
ye mana nang-e-pabandi se kya aazad ko matlab
magar wo sharm-e-azadi se bhi aazad hota hai
tasawwur mein hai kuchh aisa teri taswir ka aalam
ki jaise ab lab-e-nazuk se kuchh irshad hota hai
koi had hi nahin shayad mohabbat ke fasane ki
sunata ja raha hai jis ko jitna yaad hota hai
(933) Peoples Rate This