Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_93ad108129c3b32a02c0c8e6412edc0f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kasrat Mein Bhi Wahdat Ka Tamasha Nazar Aaya - Jigar Moradabadi Poetry In English - Darsaal

Kasrat Mein Bhi Wahdat Ka Tamasha Nazar Aaya

kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya

jis rang mein dekha tujhe yakta nazar aaya

jab us ruKH-e-pur-nur ka jalwa nazar aaya

kaba nazar aaya na kalisa nazar aaya

ye husn ye shoKHi ye karishma ye adaen

duniya nazar aai mujhe to kya nazar aaya

ek sarKHushi-e-ishq hai ek be-KHudi-e-shauq

aankhon ko KHuda jaane meri kya nazar aaya

jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra

jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya

qurban teri shan-e-inayat ke dil o jaan

is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya

har rang tere rang mein Duba hua nikla

har naqsh tera naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya

aankhon ne dikha di jo tere gham ki haqiqat

aalam mujhe sara tah-o-baala nazar aaya

har jalwe ko dekha tere jalwon se munawwar

har bazm mein tu anjuman-ara nazar aaya

(2130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kasrat Mein Bhi Wahdat Ka Tamasha Nazar Aaya In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Kasrat Mein Bhi Wahdat Ka Tamasha Nazar Aaya is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Kasrat Mein Bhi Wahdat Ka Tamasha Nazar Aaya for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Kasrat Mein Bhi Wahdat Ka Tamasha Nazar Aaya in PDF.