Kaam AaKHir Jazba-e-be-iKHtiyar Aa Hi Gaya
kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya
dil kuchh is surat se taDpa un ko pyar aa hi gaya
jab nigahen uTh gain allah-ri meraj-e-shauq
dekhta kya hun wo jaan-e-intizar aa hi gaya
hae ye husn-e-tasawwur ka fareb-e-rang-o-bu
main ye samjha jaise wo jaan-e-bahaar aa hi gaya
han saza de ai KHuda-e-ishq ai taufiq-e-gham
phir zaban-e-be-adab par zikr yar aa hi gaya
is tarah KHush hun kisi ke wada-e-farda pe main
dar-haqiqat jaise mujh ko e'tibar aa hi gaya
hae kafir-dil ki ye kafir junun-angeziyan
tum ko pyar aae na aae mujh ko pyar aa hi gaya
dard ne karwaT hi badli thi ki dil ki aaD se
dafatan parda uTha aur parda-dar aa hi gaya
dil ne ek nala kiya aaj is tarah diwana-war
baal bikhrae koi msatana-war aa hi gaya
jaan hi de di 'jigar' ne aaj pa-e-yar par
umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya
(920) Peoples Rate This