Jahl-e-KHirad Ne Din Ye Dikhae
jahl-e-KHirad ne din ye dikhae
ghaT gae insan baDh gae sae
hae wo kyunkar dil bahlae
gham bhi jis ko ras na aae
zid par ishq agar aa jae
pani chhiDke aag lagae
dil pe kuchh aisa waqt paDa hai
bhage lekin rah na pae
kaisa majaz aur kaisi haqiqat
apne hi jalwe apne hi sae
jhuTi hai har ek masarrat
ruh agar taskin na pae
kar-e-zamana jitna jitna
banta jae bigaDta jae
zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbat
ji hai ki zalim umDa aae
husn wahi hai husn jo zalim
hath lagae hath na aae
naghma wahi hai naghma ki jis ko
ruh sune aur ruh sunae
rah-e-junun aasan hui hai
zulf o mizha ke sae sae
(1069) Peoples Rate This