Ishq Ki Dastan Hai Pyare
ishq ki dastan hai pyare
apni apni zaban hai pyare
kal tak ai dard ye tapak na tha
aaj kyun mehrban hai pyare
saya-e-ishq se KHuda hi bachae
ek hi qahr man hai pyare
is ko kya kijiye jo lab na khulen
yun to munh mein zaban hai pyare
ye taghaful bhi hai nigah-amez
is mein bhi ek shan hai pyare
jis ne ai dil diya hai apna gham
us se tu bad-guman hai pyare
dil ka aalam nigah kya jaane
ye to sirf ek zaban hai pyare
mere ashkon mein ehtimam na dekh
aashiqi ki zaban hai pyare
hum zamane se intiqam to len
ek hasin darmiyan hai pyare
ishq ki ek ek nadani
ilm-o-hikmat ki jaan hai pyare
tu nahin main hun main nahin tu hai
ab kuchh aisa guman hai pyare
kahne sunne mein jo nahin aati
wo bhi ek dastan hai pyare
rakh qadam phunk phunk kar nadan
zarre zarre mein jaan hai pyare
kis ko dekhe se dil ko choT lagi
kyun ye utri kaman hai pyare
teri barham-KHiramiyon ki qasam
dil bahut saKHt jaan hai pyare
han tere ahd mein 'jigar' ke siwa
har koi shadman hai pyare
(1457) Peoples Rate This