Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6cfb87a1571fc03045b3dd2786a665eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn-e-kafir-shabab Ka Aalam - Jigar Moradabadi Poetry In English - Darsaal

Husn-e-kafir-shabab Ka Aalam

husn-e-kafir-shabab ka aalam

sar se pa tak sharab ka aalam

araq-alud chehra-e-taban

shabnam-o-aftab ka aalam

wo meri arz-e-shauq-e-behad par

kuchh haya kuchh itab ka aalam

allah allah wo imtizaj-e-latif

shoKHiyon mein hijab ka aalam

hama nur-o-surur ki duniya

hama husn-o-shabab ka aalam

wo lab-e-juebar o mausam-e-gul

wo shab-e-mahtab ka aalam

zanu-e-shauq par wo pichhle pahar

nargis-e-nim-KHwab ka aalam

der tak iKHtilat-e-raaz-o-niyaz

yak-ba-yak ijtinab ka aalam

lakh rangin-bayaniyon pe meri

ek sada jawab ka aalam

gham ki har mauj mauj-e-tufan-KHez

dil ka aalam hubab ka aalam

dil-e-mutrib samajh sake shayad

ek shikasta rubab ka aalam

wo saman aaj bhi hai yaad 'jigar'

han magar jaise KHwab ka aalam

(999) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-kafir-shabab Ka Aalam In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Husn-e-kafir-shabab Ka Aalam is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Husn-e-kafir-shabab Ka Aalam for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Husn-e-kafir-shabab Ka Aalam in PDF.