Hum Ko MiTa Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin
hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin
hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin
be-faeda alam nahin bekar gham nahin
taufiq de KHuda to ye nemat bhi kam nahin
meri zaban pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin
mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin
ya rab hujum-e-dard ko de aur wusaten
daman to kya abhi meri aankhen bhi nam nahin
shikwa to ek chheD hai lekin haqiqatan
tera sitam bhi teri inayat se kam nahin
ab ishq us maqam pe hai justuju-naward
saya nahin jahan koi naqsh-e-qadam nahin
milta hai kyun maza sitam-e-rozgar mein
tera karam bhi KHud jo sharik-e-sitam nahin
marg-e-'jigar' pe kyun teri aankhen hain ashk-rez
ek saneha sahi magar itna aham nahin
(1499) Peoples Rate This