Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_606f37951c337901be5ea0226541c472, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Haqiqat Ko Ba-andaz-e-tamasha Dekha - Jigar Moradabadi Poetry In English - Darsaal

Har Haqiqat Ko Ba-andaz-e-tamasha Dekha

har haqiqat ko ba-andaz-e-tamasha dekha

KHub dekha tere jalwon ko magar kya dekha

justuju mein teri ye hasil-e-sauda dekha

ek ek zarre ka aaghosh-e-talab wa dekha

aaina-KHana-e-alam mein kahen kya dekha

tere dhoke mein KHud apna hi tamasha dekha

hum ne aisa na koi dekhne wala dekha

jo ye kah de ki tera husn sarapa dekha

dil-e-agah mein kya kahiye 'jigar' kya dekha

lahren leta hua ek qatre mein dariya dekha

koi shaista-o-shayan-e-gham-e-dil na mila

hum ne jis bazm mein dekha use tanha dekha

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Haqiqat Ko Ba-andaz-e-tamasha Dekha In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Har Haqiqat Ko Ba-andaz-e-tamasha Dekha is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Har Haqiqat Ko Ba-andaz-e-tamasha Dekha for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Har Haqiqat Ko Ba-andaz-e-tamasha Dekha in PDF.