Dastan-e-gham-e-dil Un Ko Sunai Na Gai
dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai
baat bigDi thi kuchh aisi ki banai na gai
sab ko hum bhul gae josh-e-junun mein lekin
ek teri yaad thi aisi jo bhulai na gai
ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qabu
us ne jo aag laga di wo bujhai na gai
paD gaya husn-e-ruKH-e-yar ka partaw jis par
KHak mein mil ke bhi is dil ki safai na gai
kya uThaegi saba KHak meri us dar se
ye qayamat to KHud un se bhi uThai na gai
(832) Peoples Rate This