Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a7b8f6ed689fea9dc8ecbf49dfa5f97d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main - Jigar Moradabadi Poetry In English - Darsaal

Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main

be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main

KHali hai shisha aur piye ja raha hun main

paiham jo aah aah kiye ja raha hun main

daulat hai gham zakat diye ja raha hun main

majburi-e-kamal-e-mohabbat to dekhna

jina nahin qubul jiye ja raha hun main

wo dil kahan hai ab ki jise pyar kijiye

majburiyan hain sath diye ja raha hun main

ruKHsat hui shabab ke hamrah zindagi

kahne ki baat hai ki jiye ja raha hun main

pahle sharab zist thi ab zist hai sharab

koi pila raha hai piye ja raha hun main

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Be-kaif Dil Hai Aur Jiye Ja Raha Hun Main in PDF.