Ai Husn-e-yar Sharm Ye Kya Inqalab Hai
ai husn-e-yar sharm ye kya inqalab hai
tujh se ziyaada dard tera kaamyab hai
aashiq ki be-dili ka taghaful nahin jawab
us ka bas ek josh-e-mohabbat jawab hai
teri inayaten ki nahin nazr-e-jaan qubul
teri nawazishen ki zamana KHarab hai
ai husn apni hausla-afzaiyan to dekh
mana ki chashm-e-shauq bahut be-hijab hai
main ishq-e-be-niyaz hun tum husn-e-be-panah
mera jawab hai na tumhaara jawab hai
mai-KHana hai usi ka ye duniya usi ki hai
jis tishna-lab ke hath mein jam-e-sharab hai
us se dil-e-tabah ki rudad kya kahun
jo ye na sun sake ki zamana KHarab hai
ai mohtasib na phenk mere mohtasib na phenk
zalim sharab hai are zalim sharab hai
apne hudud se na baDhe koi ishq mein
jo zarra jis jagah hai wahin aaftab hai
wo lakh samne hon magar is ka kya ilaj
dil manta nahin ki nazar kaamyab hai
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tera shabab tera hi shabab hai
manus-e-e'tibar-e-karam kyun kiya mujhe
ab har KHata-e-shauq isi ka jawab hai
main us ka aaina hun wo hai mera aaina
meri nazar se us ki nazar kaamyab hai
tanhai-e-firaq ke qurban jaiye
main hun KHayal-e-yar hai chashm-e-pur-ab hai
sarmaya-e-firaq 'jigar' aah kuchh na puchh
ab jaan hai so apne liye KHud azab hai
(1169) Peoples Rate This