Aadmi Aadmi Se Milta Hai
aadmi aadmi se milta hai
dil magar kam kisi se milta hai
bhul jata hun main sitam us ke
wo kuchh is sadgi se milta hai
aaj kya baat hai ki phulon ka
rang teri hansi se milta hai
silsila fitna-e-qayamat ka
teri KHush-qamati se milta hai
mil ke bhi jo kabhi nahin milta
TuT kar dil usi se milta hai
karobar-e-jahan sanwarte hain
hosh jab be-KHudi se milta hai
ruh ko bhi maza mohabbat ka
dil ki ham-saegi se milta hai
(1940) Peoples Rate This