Kis Ka Lab Par Mere Fasana Hai
kis ka lab par mere fasana hai
hama-tan-gosh ek zamana hai
zindagi ek KHwab hai lekin
is haqiqat ko kis ne jaana hai
kis tarah gham ko chhoD dun yak-laKHt
is se rishta bahut purana hai
aur thoDi si kijiye taklif
do qadam par gharib-KHana hai
aap ko lauTne ki der hai bas
umr-e-rafta ko lauT aana hai
zindagi tujh se kya main pyar karun
chaal teri musafirana hai
ru-ba-ru dil ke hai wo shoKH-nazar
barq ki zad mein aashiyana hai
hai tamanna kisi se milne ki
maut to ai 'jigar' bahana hai
(849) Peoples Rate This