Jab Wo Na-mehrban Nahin Hota
jab wo na-mehrban nahin hota
aasman aasman nahin hota
hum zamane se kya umid karen
tu hi jab mehrban nahin hota
kahan aaram DhunDne jaen
kis jagah aasman nahin hota
meri nazron se dur rah kar bhi
wo nazar se nihan nahin hota
uzr ab kyun hai mujh se milne mein
main tere darmiyan nahin hota
us ko nazren bayan karti hain
jo zaban se bayan nahin hota
dard ka kya subut pesh karun
us ka koi nishan nahin hota
dair-o-kaba mein DhunDne walo
us ka jalwa kahan nahin hota
lakh aaram hon qafas mein magar
phir bhi wo aashiyan nahin hota
imtihan-e-wafa se baDh ke 'jigar'
koi bhi imtihan nahin hota
(1269) Peoples Rate This