Jab Nigahen LaDin Nigahon Se

jab nigahen laDin nigahon se

aandhiyan uTThin dil ki rahon se

jurm sabit na ho to jurm nahin

qatl karte raho nigahon se

hum ne tufan pal rakkhe hain

apne ashkon se apni aahon se

apne jalwon ko dekhne ke liye

KHud ko dekho meri nigahon se

gard-e-rah ka bhi ehtiram karo

us ko nisbat hai baadshahon se

is tarah samne wo aate hain

dekha jata nahin nigahon se

teri rahmat ko rakh ke madd-e-nazar

dil ko bahla liya gunahon se

wahi dil ke qarib rahte hain

dur rahte hain jo nigahon se

jab se dhoke diye hain dil ne mujhe

bach ke rahta hun KHair-KHwahon se

zarra zarra mahak uTha hai jigar

kaun guzra hai dil ki rahon se

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Nigahen LaDin Nigahon Se In English By Famous Poet Jigar Jalandhari. Jab Nigahen LaDin Nigahon Se is written by Jigar Jalandhari. Read famous Poem Jab Nigahen LaDin Nigahon Se for youth and Student by Jigar Jalandhari. Free Download Jab Nigahen LaDin Nigahon Se in PDF.