Dard-e-dil Ki Dawa Na Ho Jae
dard-e-dil ki dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae
lutf deti hai kya umid-e-wafa
bewafa ba-wafa na ho jae
kaise betab un ko dekhunga
aah yarab rasa na ho jae
dil mein hasrat basa to li hai magar
ye kaDi silsila na ho jae
apni duniya usi se raushan hai
gul charagh-e-wafa na ho jae
hum sitam ko karam samajhte hain
un pe ye raaz wa na ho jae
ek zamana hai us ka diwana
kahin wo but KHuda na ho jae
dil hi sab se baDa sahaara hai
dil kisi se juda na ho jae
tum agar chhu lo apne honTon se
sher mera tera na ho jae
dil luTa kar 'jigar' hamari tarah
koi be-asra na ho jae
(3565) Peoples Rate This