Nind Ke Badle Tasalli Hi Sahi Aati To Hai
nind ke badle tasalli hi sahi aati to hai
dil se baaten karte karte raat kaT jati to hai
kya isi ka nam hai soz-e-mohabbat ham-nashin
ek bijli si meri rag rag mein lahraati to hai
is se baDh kar aur kya tasir gham ki chahiye
dil ki aahon se jigar ki choT chhil jati to hai
kya yahi hai ai mohabbat hasti-e-dil ka maal
ek lahu ki bund mizhgan par nazar aati to hai
kuchh ba-zahir wasta is se hamein ho ya na ho
dekh kar us ki nigahen ruh tharraati to hai
soz-e-gham se jab bahut jalta hai dil apna 'jigar'
ruh ki manzil mein kuchh kuchh raushni aati to hai
(861) Peoples Rate This