Nazish-e-gul Hua Kare Koi
nazish-e-gul hua kare koi
dil se kanTa juda kare koi
bahte hain baat baat par aansu
aisi aankhon ko kya kare koi
jab kisi baat mein asar hi nahin
kya dawa kya dua kare koi
kaun hai wo jo dard-mand nahin
kis ki kis ki dawa kare koi
jab kaleje mein tir ho paiwast
na karahe to kya kare koi
zabt ki had hai maut tak lekin
phir sitam ho to kya kare koi
kuchh nahin jis mein dard-e-dil ka ilaj
aisi duniya ka kya kare koi
aa chala lutf-e-zindagi hum ko
dard ab to siwa kare koi
maut hai imtihan-e-shauq 'jigar'
warna kyunkar wafa kare koi
(990) Peoples Rate This