Nahin Ki Chaara-e-dard-e-nihan Nahin Malum
nahin ki chaara-e-dard-e-nihan nahin malum
dil-e-hazin ko ho manzur han nahin malum
le aai hai hamein wahshat kahan nahin malum
sawad-e-dasht hai ya gulistan nahin malum
shahid-e-naz ki mayyat chale hain dafnane
magar hai kucha-e-jaanan kahan nahin malum
hazaron KHar chubhe hain hamare talwon mein
qadam hain kis liye ab bhi rawan nahin malum
subut-e-ishq mein hum jaan de to den lekin
yaqin bhi laega bad-guman nahin malum
azal se loTte angaron par hum aae hain
hai kab tak aur abhi imtihan nahin malum
ilaj kya karen hum aur kya bataen haal
kahin hai dard magar hai kahan nahin malum
jala dil aur hua rakh muddaten guzrin
ye ab uTha hai kahan se dhuan nahin malum
na jaane kaun si manzil pe hai ki gum hain hawas
dil-e-hazin hai kahan hum kahan nahin malum
chaman mein hum na KHas-o-KHar-e-ashiyan baqi
lapak rahi hain ye kyun bijliyan nahin malum
gham-o-malal se paya kabhi na dil ne faragh
qafas mila ki hamein aashiyan nahin malum
thi qaid-e-zist ki aaghosh-e-gham kisi ki 'jigar'
ye ruh jae nikal kar kahan nahin malum
kahan gae wo shab-o-roz aur wo mah-o-sal
kabhi 'jigar' bhi hue the jawan nahin malum
(895) Peoples Rate This