Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati
maut jab tak nazar nahin aati
zindagi rah par nahin aati
tark-e-tadbir bhi nahin aasan
ras tadbir agar nahin aati
markaz-e-dil pe jo nahin qaem
wo nazar rah par nahin aati
dil ko lazzat-shanas-e-gham kar len
maut hum ko agar nahin aati
jis ne teri nazar ko dekh liya
us ko duniya nazar nahin aati
wo kabhi mehrban ho jata
aisi surat nazar nahin aati
jite ji ke hain sare hangame
mar ke phir kuchh KHabar nahin aati
aah kya ho gaya zamane ko
ab murawwat nazar nahin aati
hai unhen to waqar-e-ijz-o-niyaz
wo tamanna jo bar nahin aati
zindagi se nibahe jaenge
maut jab tak nazar nahin aati
ashk-e-paiham 'jigar' nahin thamte
rah par chashm-e-tar nahin aati
(873) Peoples Rate This