Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2bd70abc65e456b4c3ec298963eb61a4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui - Jigar Barelvi Poetry In English - Darsaal

Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui

maut aai kitni bar nai zindagi hui

nikli magar na phans jigar mein chhupi hui

ab ho bhi koi mail-e-lutf-o-karam to kya

hoti nahin shagufta tabiat bujhi hui

mausam yahi bahaar ka hai ishq ke liye

aati nahin palaT ke jawani gai hui

kuchh zahr ka nasha hai to kuchh tharthari si hai

rag rag mein aaj hai koi shai pairti hui

aab-e-hayat bhi koi chhiDke agar to kya

bujhti nahin hai aag jigar mein lagi hui

aai hai sans dusri nashtar liye hue

ek sans mein hamein jo masarrat kabhi hui

har roz ek dard naya dil mein hai 'jigar'

har raat sochte hain ki had dard ki hui

sahra mein chal ke gham ko bhula do uTho 'jigar'

dekho wo aa rahi hai ghaTa jhumti hui

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Maut Aai Kitni Bar Nai Zindagi Hui in PDF.