Lijiye Tabani-e-alam Ke Saman Ho Gae
lijiye tabani-e-alam ke saman ho gae
dil ke zarre uD ke har jaanib pareshan ho gae
dard-e-tanhai se mar jaana to kuchh mushkil na tha
kya kahen gham se magar kuchh ahd-o-paiman ho gae
iltifat-e-dost ka mumkin nahin koi sila
kam hai jaan-o-dil jo sarf-e-shukr-e-ehsan ho gae
tujh se kya len intiqam ai KHak-e-be-barg-o-nawa
wo kahan hain mehr-o-mah tujh mein jo pinhan ho gae
dawat-e-jalwa hai phir barq-e-nigah-e-naz ko
jama phir hasti ke ajza-e-pareshan ho gae
ab main samjha sina-e-sozan ke shaq hone ka raaz
aap pinhan kya hue goya numayan ho gae
jin ko hona hi na tha rah-e-mohabbat mein ghubar
kis tarah wo KHak ke putle phir insan ho gae
KHak-e-dil ke chand zarre uD gae the ek din
ban ke tare aasmanon par daraKHshan ho gae
kuchh KHayal-e-dost aaya tha ki aa pahunchi bahaar
jis taraf dekha gulistan hi gulistan ho gae
husn ne roz-e-azal jab ruKH se sarkai naqab
chand jalwe rang ban kar bazm-e-imkan ho gae
chha raha hai rang har jaanib bahaar-e-husn ka
wa hain jin ke dida-e-dil gul-badaman ho gae
rafta rafta aarzu-e-rastagari miT gai
rah ke zindan mein 'jigar' aazad-e-zindan ho gae
(830) Peoples Rate This